Samit Sadusi (may Allah be pleased with him) narrates: I sent a marriage proposal to a woman. She said, "I will not marry you unless you divorce your wife." So I divorced her three times. They married her to me. After the marriage, when they noticed that my wife was still with me, they asked, "Did you not divorce your wife?" I said, "I did. The one I divorced was so-and-so, the daughter of so-and-so. I did not divorce this one." Then I went to Shaqiq bin Salmah (may Allah be pleased with him), and he was about to go to Uthman (may Allah be pleased with him). I said, "Ask the Commander of the Faithful about this matter." He asked him, and Uthman (may Allah be pleased with him) said, "His intention is considered."
سمیط سدوسی (رض) بیان کرتے ہیں کہ میں نے ایک عورت کے لیے نکاح کا پیغام بھیجا، انھوں نے مجھے کہا کہ جب تک تم اپنی بیوی کو طلاق نہ دو ہم نکاح نہیں کریں گے، میں نے اسے تین طلاقیں دے دیں، انھوں نے میری شادی کرادی، شادی کے بعد انھوں نے دیکھا کہ میری بیوی تو میرے پاس ہے، انھوں نے کہا کہ تم نے اپنے بیوی کو طلاق نہیں دی تھی ؟ میں نے کہا کہ دی تھی۔ میرے نکاح میں فلانہ بنت فلاں تھی میں نے اس کو طلاق دی تھی اس کو نہیں دی تھی۔ پھر میں شقیق بن مجزاۃ کے پاس آیا وہ حضرت عثمان (رض) کے پاس جانے کا ارادہ کررہے تھے۔ میں نے ان سے کہا کہ امیر المومنین سے اس بارے میں سوال کرنا، انھوں نے سوال کیا تو حضرت عثمان نے فرمایا کہ اس کی نیت کا اعتبار ہے۔
Samit Sadusi (RA) bayan karte hain keh maine aik aurat ke liye nikah ka paigham bheja, unhon ne mujhe kaha keh jab tak tum apni biwi ko talaq nah do hum nikah nahin karenge, maine use teen talaqain de dein, unhon ne meri shaadi karadi, shaadi ke baad unhon ne dekha keh meri biwi to mere paas hai, unhon ne kaha keh tum ne apne biwi ko talaq nahin di thi? maine kaha keh di thi. Mere nikah mein falana bint falan thi maine us ko talaq di thi is ko nahin di thi. Phir main Shaqiq bin Mujza'ah ke paas aaya woh Hazrat Usman (RA) ke paas jaane ka irada kar rahe the. Maine un se kaha keh Ameer-ul-Momineen se is baare mein sawaal karna, unhon ne sawaal kiya to Hazrat Usman ne farmaya keh us ki niyat ka etabaar hai.
Hazrat Taus was asked that a man was sitting with his wife on a pillow. The man, addressing his wife, said with the intention of the pillow, "I divorce you." So what is the ruling? Hazrat Taus (may Allah be pleased with him) said that his intention will be considered.
حضرت طاؤس سے سوال کیا گیا کہ ایک آدمی اپنی بیوی کے ساتھ ایک تکیے پر بیٹھا تھا، آدمی نے اپنی بیوی کو خطاب کرتے ہوئے تکیہ کی نیت کرتے ہوئے کہا کہ تجھے طلاق ہے، تو کیا حکم ہے ؟ حضرت طاؤس (رض) نے فرمایا کہ اس کی نیت کا اعتبار ہوگا۔
Hazrat Taous se sawal kya gaya keh aik aadmi apni biwi ke sath aik takiya par baitha tha, aadmi ne apni biwi ko khitab karte huye takiya ki niyat karte huye kaha keh tujhe talaq hai, to kya hukum hai? Hazrat Taous (RA) ne farmaya keh uski niyat ka aitbaar hoga.
Hazrat Ata (may Allah be pleased with him) said that if a man says to his wife that I have set you free and he had the intention of divorce, then divorce will take place.
حضرت عطائ (رض) فرماتے ہیں کہ اگر ایک آدمی نے اپنی بیوی سے کہا میں نے تجھے آزاد کیا اور طلاق کی نیت تھی تو طلاق ہوگی۔
Hazrat Ata (Raz) farmate hain ke agar aik aadmi ne apni biwi se kaha mein ne tujhe azad kiya aur talaq ki niyyat thi to talaq hogi.
Hazrat Abu Thamama (may Allah be pleased with him) narrates that Hazrat Kinana bin Naqib (may Allah be pleased with him) had a wife, from whose womb he also had children in the pre-Islamic era. Kinana said to this woman, "The upper part of your belly is free." The woman came to Hazrat Abu Musa (may Allah be pleased with him) with a complaint. Hazrat Abu Musa (may Allah be pleased with him) asked the man, "Did you intend to divorce her?" He said, "Yes." Hazrat Abu Musa (may Allah be pleased with him) said, "Then we have separated her from you."
حضرت ابو ثمامہ (رض) بیان کرتے ہیں کہ کنانہ بن نقب (رض) کے نکاح میں ایک عورت تھی، جس کے بطن سے زمانہ جاہلیت میں ان کی اولاد بھی ہوئی تھی، کنانہ نے اس عورت سے کہا کہ تیرے پیٹ سے اوپر کا حصہ آزاد ہے، وہ عورت جھگڑا لے کر حضرت ابوموسیٰ (رض) کے پاس آئی۔ حضرت ابو موسیٰ (رض) نے آدمی سے پوچھا کہ کیا تو نے طلاق کی نیت کی تھی۔ اس نے کہا جی ہاں۔ حضرت ابوموسیٰ (رض) نے فرمایا کہ پھر ہم نے اسے تجھ سے جدا کردیا۔
Hazrat Abu Saamah (RA) bayan karte hain keh Kinana bin Naqab (RA) ke nikah mein ek aurat thi, jis ke batan se zamanah jahiliyat mein un ki aulaad bhi hui thi, Kinana ne is aurat se kaha keh tere pet se upar ka hissa azad hai, woh aurat jhagda le kar Hazrat Abu Musa (RA) ke paas aai. Hazrat Abu Musa (RA) ne aadmi se pucha keh kya tune talaq ki niyat ki thi. Usne kaha ji haan. Hazrat Abu Musa (RA) ne farmaya keh phir hum ne use tujh se juda kar diya.
Hazrat Hasan (R.A) said that if a man, with the intention of divorce, says to his wife "you are free" then one divorce (revocable) has been issued and he has more right to take her back.
حضرت حسن (رض) فرماتے ہیں کہ اگر ایک آدمی نے اپنی بیوی کو طلاق کی نیت کرتے ہوئے کہا کہ تو آزاد ہے تو ایک طلاق پڑجائے گی اور وہ اس سے رجوع کرنے کا زیادہ حق دار ہے۔
Hazrat Hassan (RA) farmate hain keh agar aik aadmi ne apni biwi ko talaq ki niyat karte hue kaha keh tu aazad hai to aik talaq parh jaye gi aur wo us se ruju karne ka ziada haqdaar hai.
Hazrat Isa bin Hitaan narrates that Rayan bin Sabra Hanfi (may Allah be pleased with him) was sitting in the mosque of his tribe. He took a pebble in his hand and said three times, "I divorce you, pebble." This case was presented before Hazrat Ali (may Allah be pleased with him). He asked Rayan, "What was your intention?" He replied, "My intention was to divorce my wife." So Hazrat Ali (may Allah be pleased with him) separated them (divorced Rayan from his wife).
حضرت عیسیٰ بن حطان کہتے ہیں کہ ریان بن صبرہ حنفی (رض) اپنی قوم کی مسجد میں بیٹھا تھا، اس نے ایک گٹھلی پکڑی اور تین مرتبہ کہا کہ گٹھلی کو طلاق ہے۔ یہ مقدمہ حضرت علی (رض) کے پاس پیش ہوا، آپ نے اس سے پوچھا کہ تیری نیت کیا تھی ؟ اس نے کہا کہ میں نے بیوی کو طلاق دینے کی نیت کی تھی اور حضرت علی (رض) نے ان کے درمیان جدائی کرادی۔
Hazrat Isa bin Hittan kehte hain ki Rayyan bin Sabra Hanfi apni qaum ki masjid mein betha tha, usne ek Guthli pakdi aur teen martaba kaha ki Guthli ko talaq hai. Yeh muqaddama Hazrat Ali ke pass pesh hua, aap ne us se pucha ki teri neeyat kya thi? Usne kaha ki maine biwi ko talaq dene ki neeyat ki thi aur Hazrat Ali ne un ke darmiyaan judai kara di.
A man was brought to Hazrat Ibn Masud (may Allah be pleased with him) who had said to his wife, "Your rope is around your neck." Hazrat Ibn Masud (may Allah be pleased with him) wrote a letter to Hazrat Umar (may Allah be pleased with him) about this. Hazrat Umar (may Allah be pleased with him) replied, "Tell him to meet me during the Hajj season." The man came during the Hajj season. Hazrat Umar (may Allah be pleased with him) summoned Hazrat Ali (may Allah be pleased with him). Hazrat Ali (may Allah be pleased with him) asked the man, "I ask you, by Allah, what was your intention?" He said, "My intention was to divorce my wife." Hazrat Ali (may Allah be pleased with him) separated the two.
حضرت ابن مسعود (رض) کے پاس ایک آدمی لایا گیا اس نے اپنی بیوی سے کہا تھا کہ تیری رسی تیری گردن پر ہے۔ حضرت ابن مسعود (رض) نے حضرت عمر (رض) کو اس بارے میں خط لکھا، حضرت عمر (رض) نے جواب دیا کہ اسے کہو کہ موسم حج میں مجھے ملے۔ وہ آدمی موسم حج میں آیا، حضرت عمر (رض) نے حضرت علی (رض) کو بلوایا، حضرت علی (رض) نے اس آدمی سے کہا کہ میں تمہیں اللہ کی قسم دے کر پوچھتا ہوں کہ تمہاری نیت کیا تھی ؟ اس نے کہا کہ میں نے بیوی کو طلاق دینے کی نیت کی تھی، حضرت علی (رض) نے ان دونوں کے درمیان جدائی کرادی۔
Hazrat Ibn Masood (RA) kay pass aik aadmi laya gaya us ne apni biwi se kaha tha kay teri rassi teri gardan par hai. Hazrat Ibn Masood (RA) ne Hazrat Umar (RA) ko is baray mein khat likha, Hazrat Umar (RA) ne jawab diya kay usay kaho kay mausam Hajj mein mujhay milay. Wo aadmi mausam Hajj mein aaya, Hazrat Umar (RA) ne Hazrat Ali (RA) ko bulaya, Hazrat Ali (RA) ne us aadmi se kaha kay mein tumhen Allah ki qasam day kar poochta hun kay tumhari niyat kya thi? Us ne kaha kay mein ne biwi ko talaq dainay ki niyat ki thi, Hazrat Ali (RA) ne un donon kay darmiyaan judai karadi.