It is narrated from Hazrat Abu Hayyan, that he said that I heard Hazrat Ibrahim saying, whenever I put my words before my actions, I was afraid that I might not become a liar.
حضرت ابوحیان سے روایت ہے وہ کہتے ہیں کہ میں نے حضرت ابراہیم کو کہتے سنا میں نے جب بھی اپنے قول کو اپنے عمل پر پیش کیا تو مجھے یہ ڈر ہوا کہ میں جھوٹا نہ بنوں۔
Hazrat Abuhayan se riwayat hai woh kehte hain keh maine Hazrat Ibrahim ko kehte suna maine jab bhi apne qaul ko apne amal par pesh kiya to mujhe yeh dar hua keh main jhoota na banun.
It is narrated on the authority of Hazrat Salim bin Abi Hafsah that he said that I heard Ibrahim Taimi saying: O Allah! We are weak. This weakness is because of the way you created us. And this weakness is because of the way we have to return to you, that is, whatever you wish (happens) and not what we wish. So, You decide for us to remain steadfast.
حضرت سالم بن ابی حفصہ سے روایت ہے وہ کہتے ہیں کہ میں نے ابراہیم تیمی کو کہتے سنا : اے اللہ ! ہم کمزور ہیں۔ اس کمزوری کی وجہ سے جس پر تو نے ہمیں پیدا کیا اور اس کمزوری کی وجہ سے جس کی طرف ہم نے رجوع کرنا ہے جو تو چاہے (وہی ہوتا ہے) نہ کہ جو ہم چاہیں۔ پس تو ہمارے لیے یہ بات چاہ لے کہ ہم استقامت کے ساتھ رہیں۔
Hazrat Salem bin Abi Hafsa se riwayat hai woh kehte hain ke main ne Ibrahim Taimi ko kehte suna: Aye Allah hum kamzor hain iss kamzori ki waja se jis par tu ne humain paida kiya aur iss kamzori ki waja se jis ki taraf hum ne rujoo karna hai jo tu chahe woh hi hota hai na ke jo hum chahain pas tu humare liye yeh baat chah le ke hum isteqamat ke sath rahain.
Hazrat Haseen narrates about Hazrat Ibrahim Taimi that it was amongst his sayings: "What greater regret could there be for a person than this; that his slave, whom Allah had made his slave in the world, would have a higher rank in the sight of Allah on the Day of Judgment? What greater regret could a person have than this; that Allah Almighty had given him wealth in the world, but He made someone else his heir to that wealth, and then that heir would obey Allah with that wealth. So, the sin of the wealth would be on the owner, and its reward for someone else? And what greater regret could a person have than this; that he sees a person who was blind in the world, but Allah Almighty has opened his eyes, and he has become blind?" Then you (may Allah be pleased with you) said: "The people before you used to flee from the world when it turned towards them. And they used to get the position that they were destined for. But you people are following the world, and the world has turned away from you. And the punishment that is to befall you will befall you. So, compare your situation with theirs."
حضرت حصین، حضرت ابراہیم تیمی کے بارے میں روایت کرتے ہیں کہتے ہیں کہ ان کے کلام میں سے یہ بات تھی : آدمی کو اس سے بڑی حسرت کیا ہوگی کہ وہ اپنے غلام کو جس کو اللہ نے دنیا میں اس کا غلام بنایا تھا اور وہ غلام اللہ کے ہاں بروز قیامت افضل درجہ پر ہو ؟ آدمی کو اس سے بڑی حسرت کس بات پر ہوگی کہ اللہ تعالیٰ نے اس کو دنیا میں مال دیا تھا۔ وہ کسی اور کو اس مال کا وارث بنا دے پھر وہ وارث اس مال میں اللہ کی اطاعت کرے۔ پس مال کا گناہ مالک پر اور اس کا ثواب دوسرے کے لیے ہو ؟ اور اس سے بڑی حسرت آدمی کو کیا ہوگی کہ وہ کسی بندے کو دیکھے جو دنیا میں نابینا تھا کہ اللہ تعالیٰ نے اس کی نظر کھول دی ہے اور یہ نابینا ہوگیا ہے ؟ پھر آپ (رض) نے فرمایا : تم سے پہلے جو لوگ تھے وہ دنیا سے بھاگتے تھے جبکہ دنیا ان کی طرف متوجہ ہوتی تھی۔ اور ان لوگوں کو جو مقام ملتا تھا وہ ملتا تھا۔ لیکن تم لوگ دنیا کی پیروی کرتے ہو اور دنیا نے تم سے منہ پھیرا ہوا ہے اور تمہیں جو عذاب ہونا ہے وہ ہونا ہے۔ پس تم اپنا اور ان لوگوں کا معاملہ قیاس کرلو۔
Hazrat Hiseen, Hazrat Ibrahim Taimi kay baray mein riwayat karte hain kehte hain kay unkay kalaam mein se yeh baat thi: Aadmi ko is se barri hasrat kya hogi kay woh apne gulaam ko jis ko Allah ne dunya mein uska gulaam banaya tha aur woh gulaam Allah kay haan baroz qayamat afzal darja par ho? Aadmi ko is se barri hasrat kis baat par hogi kay Allah Ta'ala ne usko dunya mein maal diya tha. Woh kisi aur ko is maal ka waris bana de phir woh waris is maal mein Allah ki ita'at kare. Pas maal ka gunah maalik par aur uska sawab doosray kay liye ho? Aur is se barri hasrat aadmi ko kya hogi kay woh kisi bande ko dekhe jo dunya mein nabeena tha kay Allah Ta'ala ne uski nazar khol di hai aur yeh nabeena hogaya hai? Phir aap (Razi Allahu Anhu) ne farmaya: Tum se pehle jo log thay woh dunya se bhaagte thay jabkay dunya unki taraf mutawajjah hoti thi. Aur un logon ko jo maqaam milta tha woh milta tha. Lekin tum log dunya ki pairawi karte ho aur dunya ne tum se munh phera hua hai aur tumhen jo azab hona hai woh hona hai. Pas tum apna aur un logon ka mamla qayas karlo.
It is narrated from Hazrat Ibrahim Taimi regarding the verse of the Holy Quran { وَیَأْتِیہِ الْمَوْتُ مِنْ کُلِّ مَکَان } that death will come even from the edges of hair.
حضرت ابراہیم تیمی سے قرآن مجید کی آیت { وَیَأْتِیہِ الْمَوْتُ مِنْ کُلِّ مَکَان } کے بارے میں منقول ہے کہ یہاں تک کہ بالوں کے کناروں سے بھی موت آئے گی۔
Hazrat Ibrahim Taimi se Quran Majeed ki ayat {WAYATIHIL MAWTU MIN KULLI MAKAN} ke bare mein manqol hai ki yahan tak ki balon ke kinaron se bhi maut aye gi.
Hazrat Ibrahim Taimi, narrating from his father, says that he used to wear a cloak that reached the buttocks from the back and the chest from the front. Ibrahim says, "I said, 'O father! Why don't you get a bigger cloak than this?' He replied, 'O my son! Don't say that. By God! When I eat any delicious morsel on earth, my heart desires that it should go into the mouth of even the most hated person to me.'
حضرت ابراہیم تیمی، اپنے والد سے روایت کرتے ہیں کہتے ہیں کہ وہ ایسی چادر اوڑھتے تھے جو پیچھے سے سرین تک اور آگے سے پستان تک پہنچتی تھی۔ ابراہیم کہتے ہیں میں نے عرض کیا : اے ابا جان ! اگر آپ اپنی اس چادر سے بڑی چادرلے لیں ! انھوں نے فرمایا : اے میرے بیٹے ! یہ بات نہ کہہ۔ خدا کی قسم ! زمین پر جو طیب لقمہ بھی میں کھاتا ہوں تو میرا دل چاہتا ہے کہ وہ بھی میرے مبغوض ترین انسان کے منہ میں چلا جائے۔
Hazrat Ibrahim Taymi apne walid se riwayat karte hain kehte hain ke woh aisi chadar odhte thay jo peeche se sereia tak aur aage se pistan tak pahunchti thi. Ibrahim kehte hain main ne arz kiya: Aye abba jaan! Agar aap apni is chadar se badi chadar le lein! Unhon ne farmaya: Aye mere bete! Yeh baat na keh. Khuda ki qasam! Zameen par jo tayyab luqma bhi main khata hon to mera dil chahta hai ke woh bhi mere mabghooz tareen insaan ke munh mein chala jaye.
Hazrat Ibrahim Taimi narrates from his father that he went to Basra and bought a slave for four thousand. Then he sold him for a profit of four thousand. I said to him, "Father! If you go to Basra and buy and sell slaves, you will make a good profit." He said, "Don't say such a thing to me. By Allah, I was not happy to get this profit, nor did I have any desire in my heart to earn such a profit again."
حضرت ابراہیم تیمی، اپنے والد سے روایت کرتے ہیں وہ کہتے ہیں کہ والد صاحب بصرہ گئے اور انھوں نے چار ہزار میں غلام خریدا۔ پھر اسے چار ہزار کے نفع کے ساتھ بیچ دیا۔ میں نے ان سے کہا ابا جان ! اگر آپ بصرہ جائیں اور غلاموں کی خریدو فروخت کریں تو خوب نفع ہوگا۔ انھوں نے کہا کہ مجھ سے ایسی بات نہ کہو۔ واللہ مجھے یہ نفع حاصل کر کے خوشی نہیں ہوئی اور نہ ہی میرے دل میں اس طرح کا اور نفع حاصل کرنے کی امنگ پیدا ہوئی ہے۔
Hazrat Ibrahim Taimi apne walid se riwayat karte hain woh kehte hain ke walid sahab Basra gaye aur unhon ne chaar hazaar mein ghulam khareeda phir use chaar hazaar ke nafe ke sath bech diya maine unse kaha abba jaan agar aap Basra jaen aur ghulamon ki khareed o farokht karen to khoob nafa hoga unhon ne kaha ke mujh se aisi baat na kaho wallahi mujhe yeh nafa hasil kar ke khushi nahi hui aur na hi mere dil mein is tarah ka aur nafa hasil karne ki umang paida hui
It is narrated on the authority of Hazrat Yazid bin Shujrah that he said that when a dead person dies, then his companions appear before him. If they are people of blood, then the people of blood. And if they are people of remembrance, then the people of remembrance.
حضرت یزید بن شجرہ سے روایت ہے وہ کہتے ہیں کہ جو میت بھی مرتا ہے تو اس کے ہم مجلس اس کے سامنے متمثل ہوجاتے ہیں۔ اگر وہ اہل لہو ہوں تو اہل لہو۔ اور اگر اہل ذکر سے ہوں تو اہل ذکر۔
Hazrat Yazid bin Shajrah se riwayat hai woh kehte hain ke jo mayyat bhi marta hai to uske hum majlis uske samne mutmasil hojaate hain. Agar woh ahl lahoo hon to ahl lahoo. Aur agar ahl zikr se hon to ahl zikr.
It is narrated on the authority of Hazrat Ibn Shajarah that he said that the grave of a disbeliever or a wicked person says, "Do you not remember my darkness? Do you not remember my fear? Do you not remember my narrowness? Do you not remember my sorrow?"
حضرت ابن شجرہ سے روایت ہے وہ کہتے ہیں کہ قبر کافر آدمی سے یا فاجر آدمی سے کہتی ہے کیا تمہیں میری ظلمت یاد نہیں ہے ؟ کیا تمہیں میری وحشت یاد نہیں ہے ؟ کیا تمہیں میری تنگی یاد نہیں ہے ؟ کیا تمہیں میرا غم یاد نہیں ؟ “
Hazrat Ibn Shajra se riwayat hai woh kehte hain ke qabar kafir aadmi se ya fajir aadmi se kehti hai kya tumhen meri zulmat yaad nahin hai? kya tumhen meri wehshat yaad nahin hai? kya tumhen meri tangi yaad nahin hai? kya tumhen mera ghum yaad nahin?
It is narrated from Hazrat Kurdus that he said that you used to tell us the events of the morning and evening and used to say, "Perhaps Paradise cannot be attained without the deeds of Paradise. Keep hope mixed with fear. Persevere in good deeds. And fear Allah Almighty with sound hearts and righteous deeds." And you often used to say: "He who fears, sets out early in the dark itself."
حضرت کردوس سے روایت ہے وہ کہتے ہیں کہ آپ ہمیں صبح وشام واقعات سنایا کرتے تھے اور فرماتے تھے۔ بیشک جنت، جنت کے عمل کے بغیر حاصل نہیں کی جاسکتی۔ رغبت کو خوف کے ساتھ ملائے رکھو۔ اچھے کاموں پر مداومت رکھو۔ اور اللہ تعالیٰ سے سلیم قلوب اور صالح اعمال کے ہمراہ ڈرتے رہو۔ اور آپ بکثرت یہ فرمایا کرتے تھے : جو ڈرتا ہے وہ جلدی اندھیرے میں ہی چل پڑتا ہے۔
Hazrat Kurdus se riwayat hai woh kehte hain ke aap humain subah o sham waqiyat sunaya karte thay aur farmate thay. Beshak Jannat, Jannat ke amal ke baghair hasil nahin ki ja sakti. Ragbat ko khauf ke sath milaye rakho. Achhe kaamon per mudawamat rakho. Aur Allah Ta'ala se Saleem Quloob aur Saleh Aamaal ke hamrah darte raho. Aur aap bakasrat yeh farmaya karte thay : Jo darta hai woh jaldi andhere mein hi chal parta hai.
It is narrated from Hazrat Abu Dahqan that he said that a young man was walking with Hazrat Anhaf, so he said to him: O nephew! When the truth comes before you, then you should intend it and be oblivious to anything other than it.
حضرت ابودہقان سے روایت ہے وہ کہتے ہیں کہ ایک جوان حضرت احنف کے ہمراہ چلا جارہا تھا تو آپ نے اس کو کہا : اے برادر زادہ ! جب حق تمہارے سامنے آجائے تو پھر تم اس کا ارادہ کرلو اور اس کے ماسوا سے غافل ہوجاؤ۔
Hazrat Abu Daqan se riwayat hai woh kehte hain ke ek jawan Hazrat Ahnaf ke hamrah chala ja raha tha to aap ne us ko kaha: Aye bhaitije! Jab haq tumhare samne aa jaye to phir tum us ka irada kar lo aur us ke ma siwa se ghafil ho jao.