It is narrated on the authority of Hadrat Jabir that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) came one night and your companions were waiting for you to offer the Isha prayer. You said: "The people have prayed and slept, and you are waiting for prayer. From the time you have been waiting for prayer, you have been in prayer. If it were not for the weakness of the weak and the old age of the old, I would have delayed this prayer until midnight."
حضرت جابر سے روایت ہے کہ رسول اللہ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ایک رات تشریف لائے اور آپ کے صحابہ عشاء کی نماز کے ادا کرنے کا انتظار کررہے تھے۔ آپ نے فرمایا کہ لوگوں نے نماز پڑھ لی اور سو گئے اور تم نماز کا انتظار کررہے ہو۔ جب سے تم نماز کے ادا کرنے کا انتظار کر رہے ہو تم نماز میں ہو۔ اگر کمزور کی کمزوری اور بوڑھے کے بڑھاپے کا خیال نہ ہوتا تو میں اس نماز کو آدھی رات تک مؤخر کردیتا۔
Hazrat Jaber se riwayat hai keh Rasool Allah Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) aik raat tashreef laaye aur aap ke sahaba Isha ki namaz ke ada karne ka intezar kar rahe thay. Aap ne farmaya keh logon ne namaz parh li aur so gaye aur tum namaz ka intezar kar rahe ho. Jab se tum namaz ke ada karne ka intezar kar rahe ho tum namaz mein ho. Agar kamzor ki kamzori aur boorhe ke burhape ka khayal na hota to main is namaz ko aadhi raat tak moakhar kar deta.
Hazrat Suwaid bin Ghaflah (R.A) said: "Whoever enters the mosque in a state of ablution, he remains in the state of Itikaf until he leaves the mosque or his ablution breaks."
حضرت سوید بن غفلہ فرماتے ہیں کہ جو شخص وضو کی حالت میں مسجد میں داخل ہو تو اس وقت تک حالت اعتکاف میں رہتا ہے یہاں تک کہ مسجد سے چلا جائے یا اس کا وضو ٹوٹ جائے۔
Hazrat Suwaid bin Ghafla farmate hain ke jo shakhs wuzu ki halat mein masjid mein dakhil ho to us waqt tak halat aitkaf mein rehta hai yahan tak ke masjid se chala jaye ya uska wuzu toot jaye.
Hazrat Abraham said that it used to be said that as long as a person remains seated in his place after praying, he remains in a state of prayer. The angels continue to send blessings on him until he becomes impure. And as long as he remains seated in the mosque, he remains in a state of prayer until he becomes impure or causes harm to anyone.
حضرت ابراہیم فرماتے ہیں کہ کہا جاتا تھا کہ جب تک آدمی نماز پڑھ کر اپنی جگہ بیٹھا رہتا ہے وہ نماز کی حالت میں رہتا ہے، فرشتے اس پر اس وقت تک درود بھیجتے رہتے ہیں جب تک وہ بےوضو نہ ہوجائے۔ اور جب تک وہ مسجد میں بیٹھا رہتا ہے وہ حالت نماز میں رہتا ہے جب تک بےوضو نہ ہو اور جب تک کسی کو تکلیف نہ دے۔
Hazrat Ibrahim farmate hain keh kaha jata tha keh jab tak aadmi namaz parh kar apni jagah betha rehta hai woh namaz ki halat mein rehta hai, farishte us par us waqt tak durood bhejte rehte hain jab tak woh bewuzu na ho jaye. Aur jab tak woh masjid mein betha rehta hai woh halat namaz mein rehta hai jab tak bewuzu na ho aur jab tak kisi ko takleef na de.
Hazrat Akrama (may Allah be pleased with him) said that when a person finishes one prayer and waits for the next prayer, the angels continue to make this supplication for him until he offers that prayer, "O Allah! Have mercy on Your this servant."
حضرت عکرمہ فرماتے ہیں کہ جب آدمی کسی نماز کو پڑھنے کے بعد دوسری نماز کا انتظار کررہا ہوتا ہے تو اس نماز کے ادا کرنے تک فرشتے اس کے لیے یہ دعا کرتے رہتے ہیں کہ اے اللہ ! اپنے فلاں بندے پر رحم فرما۔
Hazrat Akarma farmate hain ke jab aadmi kisi namaz ko parhne ke bad dusri namaz ka intezar kar raha hota hai to is namaz ke ada karne tak farishte uske liye ye dua karte rehte hain ke aye Allah! Apne falan bande par reham farma.
It is narrated on the authority of Hazrat Sahal bin Saad that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: "Whoever awaits prayer, remains in a state of prayer until he breaks his wudu."
حضرت سہل بن سعد سے روایت ہے کہ رسول اللہ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ جو شخص نماز کا انتظار کرتا ہے وہ حالت نماز میں رہتا ہے جب تک بےوضو نہ ہوجائے۔
Hazrat Sahl bin Saad se riwayat hai keh Rasool Allah Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh jo shakhs namaz ka intezar karta hai wo halat e namaz mein rehta hai jab tak bewuzu na hojaye.
Hazrat Jabir (may Allah be pleased with him) narrated that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) sent out an army. When half of the night had passed, he (the Prophet) came to us and said: "The people have prayed and slept, while you are still waiting for the prayer. Since you have been waiting for the prayer, you have been in a state of prayer."
حضرت جابر فرماتے ہیں کہ نبی پاک حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ایک لشکر کو روانہ فرمایا، جب آدھی رات گذر گئی تو آپ ہمارے پاس تشریف لائے اور فرمایا کہ لوگوں نے نماز پڑھ لی اور سو گئے ، جبکہ تم ابھی تک نماز کا انتظار کررہے ہو، جب سے تم نماز کا ا نتظار کررہے ہو حالت نماز میں ہو۔
Hazrat Jabir farmate hain ke Nabi Pak Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek lashkar ko rawana farmaya, jab adhi raat guzar gayi to aap humare pass tashreef laaye aur farmaya ke logon ne namaz parh li aur so gaye, jabke tum abhi tak namaz ka intezar kar rahe ho, jab se tum namaz ka intezar kar rahe ho halat namaz mein ho.
It is narrated by Hazrat Abu Huraira (may Allah be pleased with him) that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: "When one of you enters the mosque, he is in a state of prayer until he is prevented from it by prayer. The angels continue to send blessings upon you as long as you remain seated in the place where you have prayed. The angels say, 'O Allah! Forgive him, have mercy on him and pardon him.' They continue to pray like this as long as he does not harm anyone and as long as he does not become impure.
حضرت ابوہریرہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ جب تم میں سے کوئی شخص مسجد میں داخل ہو تو وہ اس وقت تک نماز کی حالت میں ہوتا ہے جب تک نماز اسے روکے رکھے۔ فرشتے اس وقت تک تم پر رحمت بھیجتے رہتے ہیں جب تک تم اس جگہ بیٹھے رہو جہاں نماز پڑھی ہے۔ فرشتے کہتے ہیں کہ اے اللہ ! اس کی مغفرت فرما، اس پر رحم فرما اور اسے معاف فرما۔ یہ دعا اس وقت تک کرتے رہتے ہیں جب تک وہ کسی کو تکلیف نہ دے اور جب تک بےوضو نہ ہو۔
Hazrat Abu Huraira se riwayat hai keh Rasool Allah huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh jab tum mein se koi shakhs masjid mein dakhil ho to wo us waqt tak namaz ki halat mein hota hai jab tak namaz usey roke rakhe. Farishtey us waqt tak tum par rehmat bhejtay rehtay hain jab tak tum us jaga baithey raho jahan namaz parhi hai. Farishtey kehtay hain keh Aye Allah! Is ki maghfirat farma, is par reham farma aur isey maaf farma. Yeh dua us waqt tak kartay rehtay hain jab tak wo kisi ko takleef na dey aur jab tak bey wazu na ho.
A companion narrates that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: "Whoever among you, after finishing his prayer, remains seated in his place and continues to remember Allah, he remains in a state of prayer, and the angels continue to pray for his mercy. The angels say, 'O Allah! Have mercy on him and forgive him.' When he sits in his place of prayer waiting for the next prayer, he continues to receive this prayer."
ایک صحابی روایت کرتے ہیں کہ رسول اللہ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ تم میں کوئی شخص نماز پڑھنے کے بعد اگر اپنی جگہ بیٹھ کر اللہ کا ذکر کرتا رہے تو وہ حالت نماز میں رہتا ہے اور فرشتے اس کے لیے رحمت کی دعا کرتے رہتے ہیں۔ فرشتے کہتے ہیں اے اللہ ! اس پر رحم فرما اور اس کی مغفرت فرما۔ جب وہ نماز کی جگہ بیٹھ کر نماز کا انتظار کرتا ہے تو اس وقت بھی اسے یہی دعا ملتی رہتی ہے۔
aik sahabi riwayat karte hain keh rasool allah huzur (sallallahu alaihi wasallam) ne irshad farmaya keh tum mein koi shakhs namaz parhne ke baad agar apni jagah baith kar allah ka zikar karta rahe to woh halat namaz mein rehta hai aur farishte uske liye rehmat ki dua karte rehte hain. farishte kehte hain aye allah ! is par reham farma aur iski maghfirat farma. jab woh namaz ki jagah baith kar namaz ka intezar karta hai to us waqt bhi use yahi dua milti rehti hai.
Hazrat Abu Usman narrates that one night, the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) could not come to lead his companions in the Isha prayer until a third of the night had passed. When he arrived, he saw that some people were standing, some were sitting, and some were lying down. He said to them, "Be in the state of prayer for as long as you are waiting for it. Among you are those who are standing, those who are sitting, and those who are lying down."
حضرت ابو عثمان کہتے ہیں کہ ایک رات نبی پاک حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) اپنے صحابہ کو عشاء کی نماز پڑھانے کے لیے تشریف نہ لاسکے یہاں تک کہ جب ایک تہائی رات باقی رہ گئی تو آپ تشریف لائے، دیکھا کہ بعض لوگ کھڑے ہیں، بعض بیٹھے ہیں اور بعض لیٹے ہوئے۔ آپ نے ان سے فرمایا جب سے تم نماز کا انتظار کررہے ہو حالت نماز میں ہو۔ تم میں سے کھڑے بھی، بیٹھے بھی اور لیٹے بھی۔
Hazrat Abu Usman kehte hain ke ek raat Nabi Pak Hazoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) apne sahaba ko isha ki namaz parhane ke liye tashreef na la sake yahan tak ke jab ek tihai raat baqi reh gayi to aap tashreef laye, dekha ke baaz log kharay hain, baaz baithe hain aur baaz lete huye. Aap ne un se farmaya jab se tum namaz ka intezar kar rahe ho halat namaz mein ho. Tum mein se kharay bhi, baithe bhi aur lete bhi.
Hazrat Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) narrated that you are in a state of prayer as long as the prayer keeps you from (doing other things).
حضرت ابوہریرہ فرماتے ہیں کہ جب تک نماز تمہیں روکے رکھے تم حالت نماز میں ہو۔
Hazrat Abu Hurairah farmate hain ke jab tak namaz tumhen roke rakhe tum halat e namaz mein ho
Hazrat Anas narrates that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) once delayed the Isha prayer until midnight. Some people prayed and went home. When the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) arrived, some people were still present in the mosque. He led them in prayer and after finishing the prayer, he turned towards them and said, "The people have prayed and gone to sleep, and you have been in a state of prayer since you have been waiting for it." Hazrat Anas says, "This scene is still before my eyes as if I am still seeing the shine of your blessed ring."
حضرت انس فرماتے ہیں کہ نبی پاک حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ایک رات عشاء کی نماز کو آدھی رات تک مؤخر فرمایا۔ بعض لوگوں نے نماز پڑھ کر اپنے گھروں کو جانا شروع کردیا۔ جب نبی پاک حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) تشریف لائے تو کچھ لوگ مسجد میں موجود تھے، آپ نے انھیں نماز پڑھائی اور جب آپ نے سلام پھیرا تو اپنا رخ مبارک ان کی طرف پھیر کر فرمایا ” لوگوں نے نماز پڑھ لی اور وہ سو گئے، تم جب سے نماز کا انتظار کررہے ہو نماز کی حالت میں ہو “ حضرت انس فرماتے ہیں کہ یہ منظر اس وقت بھی اس طرح میرے سامنے ہے کہ میں آپ کی انگوٹھی مبارک کی چمک ابھی بھی دیکھ رہا ہوں۔
Hazrat Anas farmate hain ke Nabi Pak Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne aik raat Isha ki namaz ko aadhi raat tak moakhar farmaya. Baaz logon ne namaz parh kar apne gharon ko jana shuru kar diya. Jab Nabi Pak Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) tashreef laaye to kuch log masjid mein mojood thay, aap ne unhein namaz parhai aur jab aap ne salam pheira to apna rukh mubarak un ki taraf phair kar farmaya "Logon ne namaz parh li aur wo so gaye, tum jab se namaz ka intezar kar rahe ho namaz ki halat mein ho" Hazrat Anas farmate hain ke yeh manzar iss waqt bhi iss tarah mere samne hai ke mein aap ki ungoothi mubarak ki chamak abhi bhi dekh raha hun.