Bara says: On the occasion of the Battle of Badr, Abdullah bin Umar and I were presented before the Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, but we were both sent back, being considered underage. Then we participated in the Battle of Uhud.
**Imam Hakim says:** At the beginning of this chapter, I mentioned the hadith of Anas, may Allah be pleased with him, with the chain of narrators of Yazid bin Harun, that Abdullah bin Umar, may Allah be pleased with him, participated in the Battle of Badr. However, this chain of narrators is stronger. Imam Bukhari, may Allah have mercy on him, and Imam Muslim, may Allah have mercy on him, have narrated from Abdullah bin Umar, through Nafi', regarding Abdullah bin Umar, may Allah be pleased with him, that he was presented before the Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, for Jihad at the age of 14, but the Prophet did not allow him. Then he was presented at the time of the Battle of the Trench, and the Prophet, peace and blessings be upon him, gave him permission. This was the first battle in which Abdullah bin Umar, may Allah be pleased with him, participated. And Allah knows best.
" حضرت براء فرماتے ہیں : جنگ بدر کے موقع پر مجھے اور حضرت عبدللہ بن عمر رضی اللہ عنہما کو رسول اللہ ﷺ کی بارگاہ میں پیش کیا گیا ، تو ہم دونوں کو کمسن قرار دے کر واپس بھیج دیا گیا تھا ۔ پھر ہم جنگ احد میں شریک ہوئے تھے ۔
٭٭ امام حاکم کہتے ہیں : میں نے اس عنوان کے آغاز میں یزید بن ہارون کی سند کے ہمراہ حضرت انس رضی اللہ عنہ کی یہ حدیث ذکر کی تھی کہ ’’ حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما جنگ بدر میں شریک ہوئے تھے ۔ جبکہ یہ اسناد اس سے اقویٰ ہے ۔ اور امام بخاری رحمۃ اللہ علیہ اور امام مسلم رحمۃ اللہ علیہ نے عبیداللہ بن عمر کے واسطے سے ، نافع کے ذریعے حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما کے بارے میں بیان کیا ہے کہ حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما کو 14 برس کی عمر میں رسول اللہ ﷺ کی بارگاہ میں جہاد کے لئے پیش کیا گیا تھا لیکن حضور ﷺ نے ان کو اجازت نہیں دی تھی ۔ پھر جنگ خندق کے موقع پر انہیں پیش کیا گیا تو حضور ﷺ نے اجازت دے دی تھی ۔ حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما کا یہ پہلا غزوہ تھا جس میں انہوں نے شرکت کی ۔ واللہ اعلم ۔"
Hazrat Bara farmate hain: Jang Badr ke mauqe par mujhe aur Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu anhuma ko Rasul Allah (صلى الله عليه وآله وسلم) ki bargah mein pesh kiya gaya, to hum donon ko kamsin karar dekar wapas bhej diya gaya tha. Phir hum Jang Uhud mein shareek hue the.
Imam Hakim kahte hain: Maine is unwan ke aaghaz mein Yazid bin Haroon ki sanad ke hamrah Hazrat Anas Radi Allahu anhu ki yeh hadees zikar ki thi ki ''Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu anhuma Jang Badr mein shareek hue the.'' Jabki yeh asnad is se aqwa hai. Aur Imam Bukhari Rahmatullah Alaih aur Imam Muslim Rahmatullah Alaih ne Ubaidullah bin Umar ke wasete se, Nafi ke zariye Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu anhuma ke bare mein bayan kiya hai ki Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu anhuma ko 14 baras ki umar mein Rasul Allah (صلى الله عليه وآله وسلم) ki bargah mein jihad ke liye pesh kiya gaya tha lekin Huzoor (صلى الله عليه وآله وسلم) ne un ko ijazat nahin di thi. Phir Jang Khandaq ke mauqe par unhen pesh kiya gaya to Huzoor (صلى الله عليه وآله وسلم) ne ijazat de di thi. Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu anhuma ka yeh pehla ghazwa tha jis mein unhon ne shirkat ki. Wallahu A'lam.