'Abd al-Malik ibn Abi Jamilah reported: 'Uthman ibn 'Affan said to Ibn 'Umar, "Go and be a judge." He said, "Will you not excuse me, O Commander of the Faithful?" He said, "Go and judge between the people." He said, "Will you not excuse me, O Commander of the Faithful?" He said, "I have decided upon you to do it unless you go and judge." He said, "Do not be hasty. I heard the Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, say, 'Whoever seeks refuge in Allah, let him be granted refuge.'" He said, "Yes." He said, "Verily, I seek refuge in Allah from being a judge." He said, "And what prevents you when your father used to judge?" He said, "Because I heard the Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, say, 'Whoever is a judge and judges with ignorance will be among the people of the Fire. Whoever is a judge and judges with justice will be among the people of the Fire. Whoever is a judge, a scholar who judges with truth or justice, will seek release, but it will be equivalent.'" So what do I hope for after this?"
عبد الملک بن ابی جمیلہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ حضرت عثمان بن عفان رضی اللہ عنہ نے حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہ سے کہا کہ ”آپ قاضی بن جائیں“۔ انھوں نے کہا کہ ”امیر المومنین! آپ مجھے اس کام سے معاف نہیں فرمائیں گے؟“ آپ نے فرمایا کہ ”جاؤ اور لوگوں کے درمیان فیصلہ کرو“۔ انھوں نے کہا کہ ”امیر المومنین! آپ مجھے معاف نہیں فرمائیں گے؟“ آپ نے فرمایا کہ ”میں نے تمہیں اس کام کے لیے منتخب کر لیا ہے، اب تم جا کر قضا ہی کرو گے“۔ انھوں نے کہا کہ ”آپ جلد بازی نہ کریں۔ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا ہے کہ ”جو شخص اللہ کی پناہ میں آجائے تو اسے پناہ دی جائے“۔ آپ رضی اللہ عنہ نے فرمایا کہ ”ہاں“۔ انھوں نے کہا کہ ”میں قاضی بننے سے اللہ کی پناہ مانگتا ہوں“۔ آپ رضی اللہ عنہ نے فرمایا کہ ”جب تمہارے والد (حضرت عمر رضی اللہ عنہ) قضا کیا کرتے تھے تو پھر تمہیں کیا چیز روکتی ہے؟“ انھوں نے کہا کہ ”اس لیے کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا ہے کہ ”جو شخص جہالت کی بنیاد پر قضا کرے گا وہ جہنمیوں میں سے ہوگا اور جو شخص جان بوجھ کر ظلم سے قضا کرے گا وہ بھی جہنمیوں میں سے ہوگا اور جو قاضی عالم ہو کر حق کے ساتھ یا عدل کے ساتھ فیصلہ کرے گا وہ بھی (اللہ سے) خلاصی چاہے گا لیکن اس کی کوئی خلاصی نہ ہوگی“ تو اس کے بعد میں کیا امید رکھ سکتا ہوں؟“
Abdul Malik bin Abi Jamilah Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki Hazrat Usman bin Affan Radi Allahu Anhu ne Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se kaha ki "Aap Qazi ban jayen". Unhon ne kaha ki "Amir-ul-Momineen! Aap mujhe is kaam se maaf nahin farmaenge?". Aap ne farmaya ki "Jao aur logon ke darmiyaan faisla karo". Unhon ne kaha ki "Amir-ul-Momineen! Aap mujhe maaf nahin farmaenge?". Aap ne farmaya ki "Maine tumhen is kaam ke liye muntakhib kar liya hai, ab tum ja kar qaza hi karoge". Unhon ne kaha ki "Aap jaldbazi na karen. Maine Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye farmate hue suna hai ki 'Jo shakhs Allah ki panaah mein aa jaye to use panaah di jaye'". Aap Radi Allahu Anhu ne farmaya ki "Haan". Unhon ne kaha ki "Main Qazi banne se Allah ki panaah mangta hun". Aap Radi Allahu Anhu ne farmaya ki "Jab tumhare walid (Hazrat Umar Radi Allahu Anhu) qaza karte the to phir tumhen kya cheez rokti hai?". Unhon ne kaha ki "Is liye ki maine Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye farmate hue suna hai ki 'Jo shakhs jahaalat ki bunyad par qaza karega wo jahanamiyon mein se hoga aur jo shakhs jaan bujh kar zulm se qaza karega wo bhi jahanamiyon mein se hoga aur jo qazi aalim ho kar haq ke sath ya adl ke sath faisla karega wo bhi (Allah se) khalasi chahega lekin uski koi khalasi na hogi'. To iske baad mein kya umeed rakh sakta hun?"